Shayari

Tum jab aaogi, to khoya hua paogi

Mere kamre main, kitaabo ke siwa kuch nahin hai

Mere kamre ko sajaane ki tamanna hai tumhe

Mere kamre mein, khwaabo ke siwa kuch nahin

Isliye apni aakhon ko nam karta hoon main, tujhe kuch bhi akela nahin karne dunga mein

jisko bhi chahta hoon, door ho jaata hai

pehle tu juda hua mujh se, phir mujhse hua hoon main

tujhko hi bhoolna chahta hoon, tujh mein hi uljha hua hoon main


Woh behti nadi si hai, aur ruka hua hoon main

Woh hai mukammal si, aur toota hua hoon main

Uske aage koi wajood hai hi nahin mera, khazaane si hai woh, and luta hua hoon main


Mere masle meri samajh ke bahaar hai, 

meri khwabo se dosti, neendon se dushmani hai

koi le aoo us parinde ko jo uske shehar jaata ho, 

yun hi pada hai khat, jo likha kayi dino se hai


Khuda kare jab tujhe pachtawa ho, to mujhe mara hua paaye

And khuda kare tere hisse main, meri khabar ki khaak tak na aaye!

pal pal tadpe, jis pal ke liye, 

woh pal bhi aaya, kuch pal ke liye

socha us pal ko rok loon, har pal ke liye

par woh pal bhi tehra, kuch pal ke liye

faasle aise bhi honge, socha na tha

saamne baitha tha woh mere, par woh mera na tha

Ek pal mein ek sadi ka mazaa humse poochiye

Dooje pal ki zindagi ki sazaa humse poochiye

Bhoole hai rafta rafta unhe muddato main hum

kishto main khudkhuzi ki sazaa humse poochiye

Aagaaz-e-aashiqui ka mazaa aap lijiye

Anjaam-e-aashiqui ki sazaa humse poochiye